2. My Callisto Momentz: November 2012

Sunday, 4 November 2012

aansuon ki pehchaan...

Holla...!!!
why the person whom we love the most hurt us??
why they dnt understand things hurt us too... whi will tell them they should stop it now???
everytime i shed my tears i gradually realise that  falling for him deeper and deeper....



yeh ansu hote kya hai???
Kisi ki yaad..
Kisi ka pyaar..
Kisi ka gussa..
Kisi ki tadap kisi ki haar???
saath chhute toh bhi yeh ansu
Dil tutey toh bhi yeh ansu
Har mausam mein dil ka dard banke,yehi ansu
Aankhon se bahe..
Haste haste rone wale, rote rote kyun nahi haste
Dil ki dard samajhne wale
Ansuon ka dard kyun nahi samajhte..
Dard mein nikle huye ansu, Baarishon mein toh dhul jate hai..
Par baarish ki woh har bunde kya dard ki gehrai tak jate hai?
Jis ne ki hai galti mohabbat karne ki..
Sazaa usey kyun nahi milti hai....
Aankhon se behne ke badle, ansu dil se kyun nahi nikalti hai..??
Dil jaise hi gham se bhara,aankhen bhi ansuon se bhar jati hai..
Yeh kis tarah ki anjani wafa hai,jo ansu iss dil se nibhati hai??
Pyaar karne ke liye dil chahiye,par pyaar mein ansu ki bhi ek alag pehchan hai.....
Kyunki,......
Kehte hai rone se dil ka dard kam hota hai, kabhi socha hai gar yeh ansu na hote toh is dil ka kya hota???